Friday, June 20, 2008


Aaj bahot kuch maine jaana…
Aaj bahot kuch maine jaana,
Apno mein gairo ko pehchana.
Aanjani thi kal tak sach se,
Viswas kiya tha badh kar khud se.
Aaj sab kuch jaan liya hai,
Sach ko maine maan liya hai.
Jaane kaun si khata ki maine
Ki aesi saza di muzko usne.

Parwah nahi hai meri usko,
Par koi gila nahi hai muzko.
Viswas kiya na usne muzpar,
Naraz hua bina jaane sach ko.
Lad padun bas ji karta hai,
Par jo apna nahi usse kya shikwa hai.
Aaj phir ye dil roya hai,
Par dil ki kya koi khata hai.

Dil ne bas use apna mana hai,
Dukh to par gair ne diya hai.
Dil ko main samjha doongi,
Rota hai hasna sikha doongi.
Maine to bas itna jaana hai,
Dosti mein koi khata nahi hoti hai.
Phir kaun si khata ki saza muze mili hai,
Phir kaun si khata maine ki hai.

Aaj bahot kuch maine jaana,
Aaj sab kuch maine maana…

2 comments:

Prakash said...

i m confused,kya sibsagar ki hawa aisi hoti hai. I hope tumhare dil ne jise apna mana hai, use apna bana le.

Anonymous said...

Nice poetry. a little bit palgiarised, nevertheless, expressions well brought up.
Wish ved likes it.

Popular Posts